"Serendipity - An unexpected discovery of something valuable." - where I penned down all my eccentric thoughts. A Xanadu to shout at maximun decibel and speak out everything going in mind of 22 year studying technology . There are google thoughts running...

Serendipity

Wednesday, September 07, 2005

arz kiya hain..



Jhuki nazron nein kiya izhaar, shabdon ki zaroorat hain kya,

Teri aankhon se pe li humnein, mehkhane ki zaroorat hain kya

Nazar kar deti hain ghaayal teri, khanzar ki zaroorat hain kya,

Hoth hain terey jaise gulab, gulistan ki zaroorat hain kya,

Aawaz hain teri jaise aayat, sangeet ki zaroorat hain kya,

Tu aa jaaye hamaare dar par, khuda ki zaroorat hain kya,

Teri dosti zinhe milein, unhein humsafar ki zaroorat hain kya,

Chehra hain tera yun roshan, chandni ki zaroorat hain kya,

Har ada hain ek madhoshi, peeney ki zaroorat hain kya,

Tu to khud ek ghazal hain, hum jaise shyaaron ki zaroorat hain kya


-Sameer Dwivedi

3 Comments:

wah wah wah wah!!!
Sher hain teri epic jaisi, shakespeare ki zaroorat hain kya

:p bad attempt, I can't write like you. Very nice !
awesum!!
Nazar kar deti hain ghaayal teri, khanzar ki zaroorat hain kya

Aawaz hain teri jaise aayat, sangeet ki zaroorat hain kya,


my favs...:)
gr8 job! thanx for droppin by.

Add a comment